Posts

Aj Baghdad main koi Qaidi - Mir Hassan Mir

Tere baba ka zakhmi lasha, Baghdad ke pul per rakha hai Ya Imam e Raza as, ya Imam e Raza as, Aj baghdad mai koi qaidi, Hogaya hai riha Raza Moula Pul pe tere gareeb baba ka, Hai janaza rakha Raza Moula, __________ Ek BiBi sarhane bethi hai, kis ne jaane use khabar ki hai Hath pehlu pe apne rakhe hue, Aayi hain Fatima ,Raza Moula ___________ Raat se pul pe lasha rakha hai, Jo guzarta hai us pe hansta hai Bebasi per tumhare baba ki, Ro rahi hai qaza Raza Moula ___________ Haal achay nahi hain mayat ke, aajaen aijaz se imamat ke Shehr e baghdad se madine ka, hai bohat fasla raza maula ___________ Ik manadi nida ye deta hai,rafizyon ka maula maara gaya Aaj aulad per Muhammad ki waqt kiya agaya raza maula __________ Kabhi dadi ko yaad kerta tha,kabhi beti ko yaad kerta tha Waqt e akhir tha us ke honton per,Fatima Fatima raza maula ___________ Qaid khane se pul talaq us ko,chand mazdoor le ke aye hain Beriyon ke nishan gurbat ka,de rahe hai pata raza maula ____________ Touq gardab ka

Shaheed Aaj Hua Hai Hamara Pehla Imam _Meesum Abbas

  Salam Ya Ali Salam Ya Ali Khuda Ne Bheje Hain Jispar Durood Aur Salam Shaheed Aaj Hua Hai Hamara Pehla Imam Shaheed Aaj Hua Hai Hamara Pehla Imam 1) Imam Aisa Jo Allah Ka Iraada Hai Imam Aisa Jo Zaujay Janabe Zehra Hai Imam Aisa Jo Pyaare Nabi Ka Saya Hai Imam Aisa Jo Hasnain Ka Bhi Baba Hai Hai Uss Imam Ki Duniya Mai Aaj Akhri Shaam 2) Hussaini Maaon Ne Bachon Ko Apne Samjhaya Ali Ke Qatl Ke Ye Din Hain Misle Ashoora Libaas e Sog Pehen Kar Bichao Farshe Aza Ye Din Vo Hain Ke Khushi Bhi Haram Hai Beta (2x) Guzaaro Girya o Zaari Mai Apne Subho Shaam 3) Zamaana Laakh Mukhaalif Ho Ye Bataana Hai Kisi Bhi Haal Mai Yom e Ali Manana Hai Aza Ke Lafz Ki Hurmat Ko Bhi Bachana Hai Ke Jaan Deke Bhi Farshe Aza Bichana Hai (2x) Phir Agle Saal Kahainge Ali Ke Saare Ghulaam 3) Ajeeb Gham Ka Ye Mah e Sayaam Aya Hai Ali Ke Qatl Ka Samaan Saath Laaya Hai Nabi Ko Qabr Mai Jisne Lahu Rulaya Hai Ali Ke Bachon Ne Daaghe Yateemi Paya Hai (2x) Ali Ke Shiyon Mai Barpa Hai Dard Se Kohraam 4) Namak Khujo

Hazrat se juda hogaya Abbas sa Bhai---- Mir Hassan Mir

  Hazrat se juda hogaya Abbas sa Bhai ●Jab huye bazue Abbas qalam darya per Gir ke thanda hua hazrat Ka alam darya per Garq e khoon hogaya wo behr e karam darya per Gul tha zakhmi hua saqai haram darya per Mushk ko danton mai pakre hui yun laata hai Dahn e sheer mai jis tarha shikar aata hai ●Algarz lasha Abbas pe aye mola Sar ko zaano pe rakha aur yeh ro ro ke kaha bhai to aj hamein keh do khudara bhaiya Nazh mai bhai ko Abbas ne Bhai bola akhri sansein li aur dar e fana chor diya bhai ne bhai ki agosh mai dam tor diya ●Abbas haye Abbas, Abbas haye Abbas Hazrat se juda hogaya Abbas sa Bhai ●Pardais mai luti gayi,Haider ki kamai Hazrat se juda hogaya Abbas sa Bhai ●Sheh ne yeh kaha lashai saqai haram Baba ki tarha tum bhi juda hogaye hum se Do baar yateemi meri behno pe hai ai Hazrat se juda hogaya Abbas sa Bhai ●Mazloom se maqtal mai chala hee nh jata Jab khaak pe girte hai utha bhi nahi jaata Ghazi ki shahadat ne qamar aisi jhukai Hazrat se juda hogaya Abbas sa Bhai ●Bachi

Subh ashoora hui,maa ne ro ro ker suni, Ali Akber ki azaan Mir Hassan Mir

  Dasht mai piyase moazan ne,Jo taqbeer kahi Agayi apne musalle pe, Ali ki beti,Yaad phir ai use Apne Baba ki azan,ro pari aun ki maa Akber Akber Allahu Akber, Allahu Akber, Allahu Akber, Allahu Akber ●Subh ashoora hui,maa ne ro ro ker suni, Ali Akber ki azaan Akhri fajar hai yeh,is moazan ke liye,phir yeh awaaz Kahan ●Dasht mai piyase moazan ne,Jo taqbeer kahi Agayi apne musalle pe, Ali ki beti,Yaad phir ai use Apne Baba ki azan,ro pari aun ki maa ●Abhi kuch dair salamat hai,haram Ka parda Sham ke waqt jab aye gi,azano ki sadaa Jaan bachane ke liye,sar chupane ke liye,chadarein hongi Kahan ●Ro ke baite ne kaha baap se,hasrat hai meri Aap ki behan to sun lein gi,sadaa Akber ki In hawaon se kahein rukh madine Ka karein,meri sughra hai wahan ●Naam aya jo Muhammad ka to roye maula,Inna lillah parha aur yeh ghazi se kaha Is ko marenge sinaa,yeh musalman bhala,reham khainge kahan ●Aya jab naam e Ali uth ke yeh maula ne kaha,Mai fidaa aap pe Baba meri aulad fidaa Teer Asghar ke lage

Aey mere be zuban,tum reh gaye Kahan Mir Hasan Mir

  Aey mere be zuban,tum reh gaye Kahan Asghar jiye gi kese,tere bagair maa ●Haye Asghar mere Asghar,haye Asghar mere Asghar Ae raaj dulare Asghar,maa tujh ko pukare Asghar Meri ankh ke tare Asghar,aaja mere pyare Asghar Aey mere be zuban,tum reh gaye Kahan Asghar jiye gi kese tere bagair maa ●Chehra wo chaand jaisa,kaise bhulai maa Asghar jiye gi kese tere bagair maa ●Kiya waqt agaya hai,bano ki bekasi per Gurbat pe tere matam,kaise kaise karegi ki madar Aada ne bandh di hain,hathon mai rasiyan Asghar jiye gi kese tere bagair maa ●Himmat pe maa tumhari,qurban kyun na Jaye Sunti hai teer kha ker,tum ran Mai muskurai Madar ki laaj rakh li,shabash meri jaan Asghar jiye gi kese tere bagair maa ●Madar ki hai wasiyat,beta khayal rakh Godi mai in ki Asghar,jane ki zid na karna Pehle hee hain shikasta,dadi ki pasliyan Asghar jiye gi kese tere bagair maa ●Kiya zer r khaak ab bhi soye ho mun chupai Maa sari bibiyon se,sharminda ho na Jaye Har ik shaheed Ka hai,sar bar sar e sina Asghar jiy

Sajjad ki aayi sada kaisa sitam yeh ho gayaFARHAN ALI WARIS in 2014-2015.

Haye Sajjad haye haye Shaam....x2 Sajjad ki is waqt qayamat ki ghadi hain Zainab dayaare Shaam me sar nange khadi hain Sajjad ki aayi sada kaisa sitam yeh ho gaya Ya rab dayare gair me binte Ali hain berida 1) Na mehramon ki bheed me Kaunain ki shahzadiyaan Is dard se rota hoon main qaidi bani saydaniyaan Ye dil sukoon na payega yeh gam mujhe kha jayega Ya rab dayaare gair me binte Ali hain berida Sajjad ki ayi .... Ya rab dayaare ... 2) Kaise saje hain bamodar kis zulm ki tajdeed hain Qaidi hhain aale Mustafa in Shaamiyon ki eid hain Kyu sakht ho dil par bhala Yeh dard hain sabse bada Ya rab dayaare gair me binte Ali hain berida Sajjad ki aayi.... Ya rab dayaare .... 3) Sar Zainab o Kulsum ka aya use jis dam nazar Ek bawafa gayyur ka thehra nahi Naize pe Sar khaak par uska gira Karta hua bas yeh buka Ya rab dayaare gair me binte Ali hain berida Sajjad ki aayi... Ya rab ddayaare.. 4) Paani kabhi maanga nahi tishna labon ke waste Chadar talab karta hu main in bibiyon ke waste Taarekhiyo

HAEY MAZLOOMA FATIMA ZEHRA(s.a.)

HAEY MAZLOOMA FATIMA ZEHRA(s.a.) HAEY MAZLOOMA FATIMA ZEHRA(s.a.) JAISAY SADMAY TU NAY BIBI(s.a.) HAEY UTHAAEY RAAT DIN GAR YEH PARH JAATAY DINO'N PE, MISL-E-SHAB HO JAATAY DIN HAAEY MA'ASOOMA FATIMA ZEHRA(s.a.) =========== TERI SACHCHAAI PE KARTA NAAZ HAI RABB-E-JALI(j.j.) ummati darbaar MEIN TU HAAEY JHUTLAAI GAIEE HAQ NAHI'N PAAYA FATIMA ZEHRA(s.a.) =========== TERAY DAR PAR KHUD RISALAT JHUK KAY KARTI THI SALAM PAR NAHI'N ummat NAY SAMJHA TERAY IS DAR KA MAQAAM DAR JALA DAALA FATIMA ZEHRA(s.a.) =========== GHAM ABHI BHOOLA NAHI'N THA TERAY BABA(s.a.w.w.) KA TUJHAY EK NAYA GHAM MIL GAYA HAI TERAY MOHSIN(a.s.) KA TUJHAY HAAEY MAZLOOMA FATIMA ZEHRA(s.a.) =========== YA ALI(a.s.) YA ALI(a.s.) YA ALI(a.s.) YA ALI(a.s.) MU'AF KARNA WAALI-O-MOLA MERAY PIYARAY ALI(a.s.) AAP KI KHIDMAT JO POORI KAR NA PAAO'N YA ALI(a.s.) RO DIYAY MOLA(a.s.) FATIMA ZEHRA(s.a.) =========== BA'AD MERAY PIYAR SAY BACHCHO'N KO RAKHNA YA ALI(a.s.) NA KABHI MEHSOOS HONAY DIJIEAY

Request Lyrics?

Name

Email *

Message *

Most Viewed

AZADAR AZA-KHANAY MAI AAO

Akeli hai ZEHRA s.a

DEKHTE JANA ALI AKBAR A.S