Hazrat se juda hogaya Abbas sa Bhai---- Mir Hassan Mir

 Hazrat se juda hogaya Abbas sa Bhai

●Jab huye bazue Abbas qalam darya per Gir ke thanda hua hazrat Ka alam darya per Garq e khoon hogaya wo behr e karam darya per Gul tha zakhmi hua saqai haram darya per Mushk ko danton mai pakre hui yun laata hai Dahn e sheer mai jis tarha shikar aata hai ●Algarz lasha Abbas pe aye mola Sar ko zaano pe rakha aur yeh ro ro ke kaha bhai to aj hamein keh do khudara bhaiya Nazh mai bhai ko Abbas ne Bhai bola akhri sansein li aur dar e fana chor diya bhai ne bhai ki agosh mai dam tor diya ●Abbas haye Abbas, Abbas haye Abbas Hazrat se juda hogaya Abbas sa Bhai ●Pardais mai luti gayi,Haider ki kamai Hazrat se juda hogaya Abbas sa Bhai ●Sheh ne yeh kaha lashai saqai haram Baba ki tarha tum bhi juda hogaye hum se Do baar yateemi meri behno pe hai ai Hazrat se juda hogaya Abbas sa Bhai ●Mazloom se maqtal mai chala hee nh jata Jab khaak pe girte hai utha bhi nahi jaata Ghazi ki shahadat ne qamar aisi jhukai Hazrat se juda hogaya Abbas sa Bhai ●Bachi ne kaha shah se farz apna nibhao Nazdeek ager hai koi basti to mai jaon Amun ke kafan ke liye ker lungi gadai Hazrat se juda hogaya Abbas sa Bhai ●Abbas ke bachon se mai sharminda rahunga Maqtal se utha lasha,her aik Ka lasha Afsos ke Abbas ki,mayat na uthai Hazrat se juda hogaya Abbas sa Bhai ●Khat khaak pe dete thy,qadam Zain se jis ke Maidan mai us shair ke,itne hui tukre Sajjad ne chadar mai wo,mayat hai uthai Hazrat se juda hogaya Abbas sa Bhai ●Darya bhi tarapne laga yeh dekh ke manzar Yaad ane laga seena e ham shakal payamber Jab mashk kate hath se mola ne churai Hazrat se juda hogaya Abbas sa Bhai ●Sadyon se hai taari ye fizaa ranj o alam ki Yeh chaand jo aujhal hua nazron se haram ki Phir sani zehra kahan Eid manai Hazrat se juda hogaya Abbas sa Bhai ●Amun ki judai pe bohat roye hai baba Samjhati hai ro ro ke yeh bachon ko sakina Ab dena nahi koi bhi,pani ki duhai Hazrat se juda hogaya Abbas sa Bhai ●Har matmi seene mai bapaa hoga talatum Is Saal tera jana,to mushkil hai taqallum Nohay ki magar karb o bala tak hai rasai

Comments

Request Lyrics?

Name

Email *

Message *

Popular posts from this blog

Akeli hai ZEHRA s.a

به طه به ياسين ALI FANI

Most Viewed

AZADAR AZA-KHANAY MAI AAO

Akeli hai ZEHRA s.a

DEKHTE JANA ALI AKBAR A.S