Aj Baghdad main koi Qaidi - Mir Hassan Mir
Tere baba ka zakhmi lasha,
Baghdad ke pul per rakha hai Ya Imam e Raza as,
ya Imam e Raza as, Aj baghdad mai koi qaidi,
Hogaya hai riha Raza Moula Pul pe tere gareeb baba ka,
Hai janaza rakha Raza Moula,
__________ Ek BiBi sarhane bethi hai,
kis ne jaane use khabar ki hai Hath pehlu pe apne rakhe hue,
Aayi hain Fatima ,Raza Moula ___________
Raat se pul pe lasha rakha hai,
Jo guzarta hai us pe hansta hai Bebasi per tumhare baba ki,
Ro rahi hai qaza Raza Moula ___________
Haal achay nahi hain mayat ke,
aajaen aijaz se imamat ke Shehr e baghdad se madine ka,
hai bohat fasla raza maula ___________
Ik manadi nida ye deta hai,rafizyon ka maula maara gaya Aaj aulad per Muhammad ki waqt kiya agaya raza maula __________
Kabhi dadi ko yaad kerta tha,kabhi beti ko yaad kerta tha Waqt e akhir tha us ke honton per,Fatima Fatima raza maula ___________ Qaid khane se pul talaq us ko,chand mazdoor le ke aye hain Beriyon ke nishan gurbat ka,de rahe hai pata raza maula ____________ Touq gardab ka paon ki beri,yeh taqallum sadain dete hain
Inna lillah parh ke baba ka,ab janaza utha raza maula
Comments
Post a Comment