Subh ashoora hui,maa ne ro ro ker suni, Ali Akber ki azaan Mir Hassan Mir
Dasht mai piyase moazan ne,Jo taqbeer kahi
Agayi apne musalle pe, Ali ki beti,Yaad phir ai use Apne Baba ki azan,ro pari aun ki maaAkber Akber
Allahu Akber, Allahu Akber, Allahu Akber, Allahu Akber ●Subh ashoora hui,maa ne ro ro ker suni, Ali Akber ki azaan Akhri fajar hai yeh,is moazan ke liye,phir yeh awaaz Kahan ●Dasht mai piyase moazan ne,Jo taqbeer kahi Agayi apne musalle pe, Ali ki beti,Yaad phir ai use Apne Baba ki azan,ro pari aun ki maa ●Abhi kuch dair salamat hai,haram Ka parda Sham ke waqt jab aye gi,azano ki sadaa Jaan bachane ke liye,sar chupane ke liye,chadarein hongi Kahan ●Ro ke baite ne kaha baap se,hasrat hai meri Aap ki behan to sun lein gi,sadaa Akber ki In hawaon se kahein rukh madine Ka karein,meri sughra hai wahan ●Naam aya jo Muhammad ka to roye maula,Inna lillah parha aur yeh ghazi se kaha Is ko marenge sinaa,yeh musalman bhala,reham khainge kahan ●Aya jab naam e Ali uth ke yeh maula ne kaha,Mai fidaa aap pe Baba meri aulad fidaa Teer Asghar ke lage,seena Akber ka chida,mujh pe khanjar ho rawan ●Itna tarpe ga Hussain ibn e Ali ae beta,Teri maa ,teri phuphi,teri sakina sughra Jee nahi payein ge sabhi,tujh ko barchi Jo lagi,tujh mai hum sub ki hai Jaan ●Masjid e kufa nazar ane lagi karb o bala,do azano pe bohat royi hai bint e zehra Aaj tak bhuli nahi ik baba ki azan,ik Akber ki azan ●Kis qadar dard mai doobi thi sadaa Akber ki,gash se uth ker kaha Sajjad ne batlain phuphi Sub kyun rote hain yahan,shor hai kaisa bapaa,kon deta hai azaan ●Kesay manzar ho bhala mir taqallum wo raqam,bab e sa at pe huin 17 azane jis dam Sun ke ik ik azaan,ro ke kehti thi wo maa mere Akber ho kahan
Comments
Post a Comment