Aj Baghdad main koi Qaidi - Mir Hassan Mir
Tere baba ka zakhmi lasha, Baghdad ke pul per rakha hai Ya Imam e Raza as, ya Imam e Raza as, Aj baghdad mai koi qaidi, Hogaya hai riha Raza Moula Pul pe tere gareeb baba ka, Hai janaza rakha Raza Moula, __________ Ek BiBi sarhane bethi hai, kis ne jaane use khabar ki hai Hath pehlu pe apne rakhe hue, Aayi hain Fatima ,Raza Moula ___________ Raat se pul pe lasha rakha hai, Jo guzarta hai us pe hansta hai Bebasi per tumhare baba ki, Ro rahi hai qaza Raza Moula ___________ Haal achay nahi hain mayat ke, aajaen aijaz se imamat ke Shehr e baghdad se madine ka, hai bohat fasla raza maula ___________ Ik manadi nida ye deta hai,rafizyon ka maula maara gaya Aaj aulad per Muhammad ki waqt kiya agaya raza maula __________ Kabhi dadi ko yaad kerta tha,kabhi beti ko yaad kerta tha Waqt e akhir tha us ke honton per,Fatima Fatima raza maula ___________ Qaid khane se pul talaq us ko,chand mazdoor le ke aye hain Beriyon ke nishan gurbat ka,de rahe hai pata raza maula ____________ Touq gardab ka ...