Mera Murshid HUSSAIN as hai (MIR HASSAN MIR 2021)

 Mera Aqa, Mera Maula, Mera Sa'een, Mera Daata

Mera Murshad, Mera Malik, Mera Qibla, Mera Ka'baa

میرا آقا، میرا مولا، میرا سائين، میرا داتا

میرا مرشد،. میرا مالک،. میرا قبلا، میرا کعبہ 

Ya Hussain!


Ye Dunya ho ya woh Dunya, Mera Maula Hussain he

Mera Murshad Hussain he, Mera Malik Hussain he

یہ دنیا ہو یا وہ دنیا...   میرا مولا حسين ع ہے 

میرا مرشد حسين ع ہے،. میرا مالک حسین ع ہے

Maula Maula mere, Maula Maula Mere, Mere Maula, Mere Maula

Murshad Hussain(as) Hai

........... 

Noke sina pe tu ne Quran sunaya he

La ilaha ill-Allah ko tu ne bachaya he

Hussain Maula, Hussain Maula, Hussain Maula

Avaaz ye kalma deta he, mera kalma Hussain he!

Mera Murshad Hussain he, Mera Malik Hussain he

 نوکِ سناں پر تونے، قرآں سنایا ہے 


لا الہ الا اللہ کو تو نے بچایا ہے 


حسین ع مولا، حسین ع مولا حسين ع مولا


آواز یہ کلمہ دیتا ہے 


میرا کلمہ حسین ع ہے... 


میرا مرشد حسين ع  ہے.... 



Lawh-o-Qalam ka Malik, Zahra ka laal he

Fitrus ka istekhara, Rahib ka faal he

Hussain Maula, Hussain Maula, Hussain Maula

Hur ne ye kaha milta he Khuda, jise milta Hussain he

لوح و قلم کا مالک، زہرا س کا لال ہے 

فطرس کا استغاثہ، راہب کی فال ہے

حر ع نے یہ کہا ملتا ہے خدا 

جسے ملتا حسین ع ہے 

Kar midhate Hussain, issi me nijaat he

Dunya e be-sabaat ka in se sabaat he

Be ayb Haq ki zaat he, ya in ki zaat he

Hukm inka aur kalam-e-majeed ek baat he

Us manzil e niyaaz ke Salik Hussain he

Jab tak Khuda ka Mulk he, Malik Hussain he

Sarkar e Dabeer ne farmaya, mera Maula Hussain he

Mera Murshad Hussain he, Mera Malik Hussain he

کر مدحتِ حسین ع اسی میں نجات ہے

دنیا بے ثبات کا ان سے ثبات ہے

بے عیب حق کی ذات ہے یا انکی ذات ہے

حکم ان کا اور کلام مجید ایک ہی بات ہے 

اس منزلِ نیاز کے سالک حسین ع ہیں 

جب تک خدا کا ملک ہے مالک حسین ع ہیں 

سرکارِ دبیر نے فرمایا... میرا مولا حسين ع ہے

میرا مرشد حسين ع ہے... 

Maula Maula mere, Maula Maula Mere, Mere Maula, Mere Maula

Murshad Hussain(as) Hai

Arfe diye riwayat, Sattar hazaar hajj,

Ehram kale paa ke, Kaynde zawar ajj

Hussain Maula, Hussain Maula, Hussain Maula

Az karbobala de HajiyaaN, Sada Makkah Hussain ay

Mera Murshad Hussain ay, Mera Malik Hussain ay


Rang o nasal di koi, tafreek na rayi

Matam di saff te aa ke, koi bhi ghayr nayi

Hussain Maula, Hussain Maula, Hussain Maula

Sada matamdar qabila ay, sada rishta Hussain ay

Mera Murshad Hussain ay, Mera Malik Hussain ay


Maula Maula mere, Maula Maula Mere, Mere Maula, Mere Maula


Karam Hussain ka mujh par mazeed ho jaye

Marun jo farsh e aza par toh Eid ho jaye

Ajeeb jazba he har Maa du'aaein karti he

Khuda kare mera bachha shaheed ho jaye

Har maa ne kaha mera baccha, tera sadqa Hussain he

Mera Murshad Hussain he, Mera Malik Hussain he


Dunya me Shah ka sajda sajdon ka taaj he

Nabiyon ke sab sajdon par is ka hi raaj he

Khud khana e kaaba kehta he mera Qibla Hussain he

Mera Murshad Hussain he, Mera Malik Hussain he


Maula Maula mere, Maula Maula Mere, Mere Maula, Mere Maula


In jayse kitne tere Ashiq mazeed hein

Khwaja, Bhittai, Baahu tere mureed hein

Hussain Maula, Hussain Maula, Hussain Maula

Jisse Laal Qalandar kehte hein tera banda Hussain he

Mera Murshad Hussain he, Mera Malik Hussain he


Mere dil ke andar Hussain, Hussain

Mere ruh ka mehvar Hussain, Hussain

Dosh-e-Nabi ka sawaar he

Wo naaz parwardigaar he

Fatima ka chayn he

Woh Nabi ka Noor e ayn he

Woh Ba-Khuda Hussain he


Jera Nabi da pyara Zahra da chayn ay

Waris wasila saada bass o Hussain ay

Hussain Maula, Hussain Maula, Hussain Maula

Murshad Hussain(as) Hai

Akbar, te Takallum kende ne

Sanu denda Hussain ay

Bolo bolo jhulay Laal Qalandar mast

Jivay sa'eeyaaN, jivay sa'eeyyaaN

Laal Qalandar jhule, Jhule murshid sakhi

Tere mere ishq qalandar, Laal qalandar jivay

Dama-dam Mast qaladar, Sakhi


Noor aur noori qabila tera

Hasan Hussain wasila tera

Waliyon ka sardar, jivay sa'eeyyaaN

Laal Qalandar jhule, Jhule murshid sakhi

Tere mere ishq qalandar, Laal qalandar jivay

Dama-dam Mast qaladar, Sakhi

Haye Murshad Laal Sakhi


Murshad Hussain (as) Hai


Manqabat Title #MurshadHussain as Hai

Reciter Name #MirHasanMir

Poetry By #MirTakallum

Released On Mir Hasan Mir YouTube Channel

Category #Manqabat

Released Year 3 Shaban #2021

Comments

Request Lyrics?

Name

Email *

Message *

Popular posts from this blog

به طه به ياسين ALI FANI

Akeli hai ZEHRA s.a

Most Viewed

AZADAR AZA-KHANAY MAI AAO

Akeli hai ZEHRA s.a

DEKHTE JANA ALI AKBAR A.S